Bewafai
Shayari
PAGE=4
Kohra Sa Dhuan Sa Lagta Hai
By : Gagan (Views :
1201)
kohraa sa dhuan sa lagtaa hai
be-asar, be-mazaa sa lagtaa hai
dost gar
ho be-muravvat to
lafz-e-dosti sazaa sa lagta hai
Pyaar Mein Palatna
By : Gagan (Views : 501)
pyaar mein palatna aata nahi humein
guzraa huya lamha yaad aata nahi
humein
DIL KA DARD KYA HOTA HAI
By : Gagan (Views : 509)
DIL KA DARD KYA HOTA HAI
ISE BATLANA BADA MUSKIL HAI
YEH EHSAAS KARNE
KI CHEEZ HAI
ISE DIKHLANA BADA MUSHKIL HAI
Ho Na Kabhi Dosti
By : Gagan (Views : 477)
ho sakta hai ki aaj unhe meri dosti ki zarurat nahi
par mujhe lagta hai ki
dost ko uski dosti ka ehsaas tab hota hai
jab woh uski zindagi se bohut dur
chala jata hai
aur beete huye lamho ki kuchh haseen yadein chhod jata hai
Bewafa
By : Gagan (Views : 636)
Sar jhukaoge jahan pathar devta ho jayega,
Usse itna mat chaho wo bewafa
ho jayega,
Hum bhi dariya hai hamein apna hunar malum hai,
Jis taraf bhi
chal padenge rasta ho jayega.
BEWAFA NAHI HOTA
By : Gagan (Views : 773)
HALKA KHAYAL UNAKA NAHI HOTA
DIL SAI DARD JUDA NAHI HOTA,
UNAKI BHI
KHUCH MAJABURI HOGI
YUHI KOYI BEWAFA NAHI HOTA.
Bhool Jao Hume
By : Gagan (Views : 761)
Humne manga tha saath unka
Woh judai ka gam de gaye
Hum unki yaado ke
sahare ji lete
par woh bhul jaane ki kasam de gaye
Pyar Ka Rang
By : Gagan(Views : 490)
pyar ka rang holi se bhi gehra hota hai
do pyar karne walon ka joda sabse
nyara hota hai
jo pyar ka dhaga ek baar toot jaye
to unka dubara judna
namumkin hota hai
Ulfat Na Sahi
By : Gagan (Views : 758)
ulfat na sahi nafrat hi sahi
hum ye bhi gawara kar lenge
ik yaad kisi
ki dil me liye
jeene ka sahara kar lenge
Usne Humare
By : Gagan (Views : 603)
Usne humare zakhm ka yun kiya ilaaj
marham bhi gar lagaya to kaanto ki
nok se.
Baat Baat Par
By : Gagan (Views : 825)
baat baat par aap inqaar karne lage
yunhi humse khafa hone lage
pyaar
kerne ki itni badi saza di apne
ke hum jeete jee hi marne lage
Mohabbat Yahan Bikti Hai Ishq Nilam Hota Hai....
By :
Gagan (Views : 633)
Mohabbat yahan bikti hai ishq nilam hota hai
bharose ka ktl yahan khule
aam hota hai
jamane se thokar mili to chale hum maikhane mein
Aur wahi
jamana humein sharabi ka naam saare aam deta hai
Hum Gunahgaar Hai
By : Gagan (Views : 436)
hum gunahgaar hai
hum ko saza de do
mout aa jaye hume
bus itni si
dua de do
mere yaar mujh ko khushi se saza da gaya
hath tham kar mera kisi
or ka saath de gaya
hum ne wafa ka tum se itna sila paya hai
dil chhalni
huya hai or rona ab aaya hai
hum ko mohaabat par aitbaar na raha
tere
baad kisi se pyaar na raha
Gunnah - E- Ishq
By : Gagan (Views : 584)
Dil na maan le tere jhoot ko sach
izhar-e-ishq tumne hi to kiya
tha
Pehle to maine bhi inkaar kiya tha
Kar ke yakeen tere un vaado
par
Gunnah-e-ishq kar baithi
Kis ko dikhaun ye dard bhare zakhm
Kaise
mita lu tere naam ka diya hua daag
Ab ban kar teri dewaani
Kabhi aar kabhi
paar
Sirf tujh ko hi pukaru
Dard Chahat Ka
By : Gagan (Views : 534)
Haalat na puchho dil ke
badi mushkil mein dil hai sanam
dard chahat ka
ho raha hai
kabhi zyada to kabhi kam
By : Gagan(Views : 669)
GUZRE HUE LAMHON KI BAS YAAD HAI BAKI
KUCH NAHI PAAS MERE, SIRF GAM HAI
BAKI
LOOT LIYA UNHONE JO BHI THA MERE PAAS
NAA JANE KASOOR MERA THA YA
TAQDEER KA
Dil Mein Jagah Di Thi
By : Gagan (Views : 685)
ek bewafa ko humne iss dil mein jagah di thi
khwaabon ki duniya apni uss
se hi saja di thi
chaha tha usko humne khud se bhi bahut badh kar
uss
chahat mein humne yeh hasti hi mita di thi
malum nahi tha humko woh bewafa
bhi hoga
uss par bharosa kar ke khud ko hi saza di thi
socha tha saath
milke kaatenge zindagi ko
usne tou ek pal mein har baat bhula di thi
kaise
sitam hai dekho woh kab se juda hai
apni zindagi jiska saya sa bana di
thi
kiya tha uss par bharosa kyun hadd se badh kar
uski jafa ne dil mein
ek halchal si macha di thi.
Kuch Nahi
By : Gagan (Views : 371)
Zindagi mein hai dhoka is ke siwa kuch nahin
TamGagani hai yeh duniya
is ke siwa kuch nahin
Meri zindagi se pochhiye zindagi kya hai
Zindagi
hai ek khwaab is ke siwa kuch nahin
Mujh se jo log bhi mile hain khush hokar
Inke dilon mein hai nafrat is ke siwa kuch nahin
Wade to karte hain log
magar jaante nahin wafa karna
Bewafai hai is duniya mein is ke siwa kuch
nahin
Pal mein jise chaha use pal mein bhula diya
Yeh khail hay duniya ka
is ke siwa kuch nahin
Mohabbat Karta Kyun Hai?
By : Gagan (Views : 605)
Aye dil tu muhabbat karta kyun hai
Jo karta hai tu phir tadapta kyun
hai?
Jo baith gaya hai dil mein pyar ka dard banke
Woh aankhon ke raste
nikalta kyun hai?
Main tere saath hun har raah mein mujhse kehti thi wo
To
phir aaj yeh rasta mujhe sunsaan lagta kyun hai?
Main dharkan hun uske dil ki
woh kehti thi mujhse
Phir aaj uska dil mere bina dhadkta kyun hai?
Woh
meri nahi hai yeh janta hun main phir bhi
Kisi aur ke saath dekh ke usko dil
machalta kyun hai?
Yeh dil bhi ajeeb hota hai doston
Kabhi kehta hai ja
tham le uske haathon ko
Phir reh reh ke sambhalta kyun hai?
PYAR KO BADNAAM
By : Gagan(Views : 494)
TUMHE HUMSE DOOR JANA HI THA
TO KUCH AUR BAHANA KAR LETE
TUM JO KEHTE
TO HASKAR APNI JAAN BHI DE DETE
PYAR KO MERE BADNAAM KARKE KYA MILA
TUMHE
SACCHAI KO MERE GALAT ILZAAM DIYA HAI TUMNE
KUCH NAHI TO JATE-JATE
MERI JAAN HI LE LETE
Tere Naam Ki Thi Jo Roshni
By : Gagan (Views : 354)
Tere Naam ki thi jo Roshni use khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi
na Dhoop, use chandni ne jala diya
Main hun gardisho ka maara huwa, mujhe ab
apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa
diya
Jissko samjha tha tuney raqeeb, woh tera naseeb tha
Tere haath ki
lakeer tha, tuney haath sey hi mita diya
Mujhe ishq hai ke junoon, yeh faisla
kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha, ise aandhiyo ne mita
diya
Yeh udasiyo ka jamal hai ke umara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi
chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya
Mere umar ka gulistan abhi khula
huwa hai zaroor par
Woh jo phool the teri chah ke unko mosamon ne gira
diya
Bewafai Karte Rehte Ho
By : Gagan (Views : 390)
Hum yeh nahi kehte dil ke bure ho tum
Par Dil ko dukhate rehte ho
tum
Wafa ki to umeed nahi hai tum se
Par phir bhi bewafai karte rehte ho
tum
Mera Wahem
By : Gagan (Views : 269)
mere saath lagke woh ro diya
mujhe fakt itna woh keh saka
jise janti
thi main zindagi
woh tou sirf wahem-o-khayal tha
Dekh Liya
By : Gagan (Views : 364)
Raaz-e-ulfat Chupa Kar Dekh Liya
Dil Ko Bohat Jala Kar Dekh Liya
Aur
Kya Dekh Ne Ko Baqi Hai
Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya
Woh Mere Ho Kar Bhi
Mere Na Huye
Unn Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
Aaj Unn Ki Nazar Mein Hum
Ne
Sab Ki Nazar Bacha Kar Dekh Liya
Sukoon Mil Gaya
By : Gagan (Views : 373)
Sukoon mil gaya Aaj mujhe badnaam ho kar
Tere har ek ilzaam pay yun
bezabaan ho kar
Kya hua gar bulaya mujhe bey izzat karne ke liye
Khush hu main teri mehfil
mein mehmaan ho kar
Log parh hi lenge mohabbat teri aankhon mein
Chahe karle lakh inkaar tu
anjaan ho kar
Ilzaam muj par lagakar khud roye ja rahi hai
Kya payega mera hamdard
shar-e-aam ho kar
Mil to gaya suboot mujhe teri Mohabbat ka
Ab afsos nahi tere ishq mein
nakaam ho Kar